Tuesday, June 7, 2011

Mess.. Mess,,, Total Mess……

Next din main aur Sameer college pahuche toh sab se pehle Kinjal dikhai di.. usne humse baat karne me koi interest nahi dikhaya..*I was like…humne kya kiya hai yar*. Class me pahuche toh waha Simmy, Shruthi aur Priyanka baithe hue the… dukh, gussa, naraz kya kahu,, sab kuch nazar aa raha tha unke face pe.. meri himmat nahi hui ki unko hi bhi bol saku.. Sameer ne unko hii bola.. toh Priyanka mujhe boli-“tere paise lag rahe hai kya hii bolne me bhi” ,,
I just asked them-“Vaibhav aur Karthik college nahi aaye kya?? Aur Megha kaha hai??”
No body was looking interested to answer me.. *Simmy still playing with her mobile.. ladkiya kitni bhi serious situation kyo na ho apna mobile nahi chodti... *
Shruthi-“Vaibhav aaya tha but bina kuch bole hi bag rakh ke bahar chala gaya,, Karthik abhi nahi aaya hai shayad,, and Megha is on her way, abhi call aaya tha uska. Tumhari Karthik se baat hui kya??”
*It made me remember the last night stuff.. Slap-Slap… fighting and all that..*
I said-“nahi us se kuch baat nahi hui.. woh abhi kisi se baat nahi karna chahta”
Sameer looked at me with puzzled look.. I told him to keep quite.. we handed over our bags to them.. and moved out of the class.. main nahi chahta tha ki Vaibhav Karthik ko dhundh raha ho, us se ladai karne ke liye. Kuch galat ho is se pehle Vaibhav ko dhundhna tha…

10 min baad hum college canteen pahuche Vaibhav waha baitha hua Maggie kha raha tha.. hum uske pass ja ke baith gaye.
Me-“Class attend nahi karni hai kya??”
Vaibhav-“nahi mera mood nahi hai”
Sameer-“Karthik nahi aaya kya??”
Vaibhav stood up to leave.. I pulled him down and told him-“ I know.. kal jo hua galat hua.. but tune kuch jyada hi bol diya. Main manta hu usko haath nahi utthana chahiye tha but try to understand his situation also”
Vaibhav-“ Yar main bhi uski help hi karne aaya tha,, aur maine kya galat kiya,, sab ladkiya hoti hi aisi hai” *this time a bit louder.. some of the girls sitting near our table heard that and stared at us with anger..*
Suddenly mera phone baja.. it was Megha.. jaldi-jaldi me phone disconnect ho gaya mere haath se. *crap..* I called her back but usne call disconnect kar diya…
Sameer lokked at me and asked-“kya hua??”
Me-“ class me chalo.. panga hone wala hai..”
We all moved towards our class room.

Class ke bahar hi Megha, Simmy aur Shruthi mil gayi. *thank God.. Kinjal was not there*
Megha-“Call nahi utthaya jata tumse,, jyada nawab ho gaye ho tum log.” *Gusse me insaan kuch bhi bolne lagta hai*
Me-“are galti se disconnect ho gaya tha, Tune bhi toh baad me mera phone kaat diya”
Megha*calmed down*- “ok.ok.. I am sorry.. but situation itni kharab chal rahi hai na kuch samaz nahi aa raha kya kiya jaye.”
Simmy-“Vaise ab hum kuch na kare toh hi aacha hai.. pehle hi pata nahi kya-kya kar diya hai humne.. mujhe toh lag raha hai jaise sab humara hi kiya hua hai..Kinjal aur Karthik ki toh koi galti hi nahi thi.”
Vaibhav baat beech me chod ke class me chala gaya.
Shruthi looked at him-“Is ko kya hua hai??”
I looked at Sameer and I nodded.. Sameer told them all the stuff happened at Karthik’s home.
*All shocked*
Megha-“What?.. he slapped him.. pagal ho gaya ha kya wo?? Itni si baat pe itna bada issue bana diya.”
I nodded.
Megha tried to call Karthik but usne phone kaat diya. He was not ready to pick up call from any one of us. We were helpless and hopeless too. Tabhi waha Kinjal aa gayi.. she waved hii to me and Sameer and looked around as she was searching for some one.
She asked-“Karthik nahi aaya?”
I looked at her with suspicion. *Iska fight karne ka mood toh nahi hai na*
Shruthi said-“He is not picking up the call, shayad college nahi aayega.”
Kinjal-“ok,, aaye toh kehna mujhe us se kuch baat karni hai”
We nodded and she moved away with priyanka.

Who din sach me bahut bura tha... main chemisty k class me Vaibhav se kuch baat kar raha tha.. Chemistry wale Mehta sir ne mujhe dekh liya aur ek heavy question puch liya aur main answer nahi kar saka..*dance ke peeche inki classes bahut bunk ki thi,, aaj pakad me aa hi gaya main*
Uper se dialogue bhi suna diya-“Bas dance karte raho din bhar, padhai toh karni hai nahi tum logo ko” Everyone laughed,, the world’s happiest men would be Nishit, bahur jor-jor se hass raha tha wo.
Maine bhi gusse me keh diya-“ Sir me dance nahi karta,, gaana gata hu,, sunau kya?”
Baat serious ho gayi. Sabhi sir ki taraf dekh rahe the.
Mehta sir-“Oh!! So now you will back answer me in front of the whole class. I do not need such students in my class,, its better if u leave the class.”
Me-“No sir, I will not”
Mehta sir-“are u leaving the room or should I move away, I don’t want to teach such arrogant people.”
Me- “Sir, why should I leave? I have not done any mistake.”
Vaibhav-“Abbe.. chup ho ja,, marwayega tu,, chala ja keh rahe hai toh,, kal tak sab bhul jayenge”
Mehta Sir-“Ok then,, I am leaving now, now from tomorrow their will be no interactive sessions in class, ek presentation chalegi projector pe,, and just make your own notes, I will not be responsible.” And he left the room.

Everyone looked at me with disgust. I said-“What,, its not my fault.”
Simmy-“Oh poor baby!!  but sir keh rahe the toh nikal jata na class se.”
Me-“meri koi galti nahi thi isme,, who intentionally mujhe punish karna chahte hai.. unki classes bahut bunk maari hai na.”
Megha-“ok chill down! Kal baat kar lenge sir se, din bahut hi bekar jar aha hai aacha hoga hum ghar chale jaye,, vaise bhi ek hi class baki hai ab..”
We all agreed on that point and we left for home. Girls told us to check out the situation of Karthik at his home,, we nodded.

Ajj din bahut kharab gaya tha, Pehle Kinjal Karthik ka case, phir Vaibhav Karthik ki fighting, sabhi ke tensed face, monster Nishit ki wo hassi, aur upper se Mehta sir se bhi panga. College se nikalte waqt yaad aaya- Yar assignment ke marks toh Mehta sir hi denge na.. kal unse baat karni padegi. Abhi Karthik ke ghar bhi jana tha, pata nahi kis haal me hoga woh. Full day bheja fry hua,, ab aur kuch prob ke liye himmat nahi reh gayi thi mujh me. Vaibhav mere saath hi college aaya tha so usko bhi hamare saath chalna pada. Hope sab kuch sahi hoga……….

Friday, June 3, 2011

Love Ke Side Effects…..



Us raat koi kuch bhi na keh saka… Aisa lag raha tha hum sabhi ajnebee logo ke saath safar kar rahe hai.. Karthik ab tak vishvas nahi kar pa raha tha jo uske sath hua tha.. Who poori raat soya nahi tha.. Kinjal apni berth me thi but who bhi shayad so nahi payi thi… In fact all were trying to sleep but koi so nahi pa raha tha.. Sab taraf tensed chehre the.. Jeet ki khushi pata nahi kaha chali gayi thi.. Hum subah Udaipur pahuche aur sabhi apne ghar ki aur chal diye.. Kinjal aur Karthik ne ek doosre ki taraf dekha bhi nahi tha.. Me and Vaibhav waved a bye to Megha, Simmy and Shruthi and moved with other boys.

Us din sabhi bahut tired feel kar rahe the.. main ghar pahuch kar so gaya and woked up late in the evening.. I took shower and was sitting with my mom and having my evening tea,, tabhi mere phone ki ring baji.. my mom looked at me.. *my mom was always very interested to know who is calling me.. to much care to afford* maine dekha Megha ka call tha.. I picked up the call…
Megha-“Hi…”
Me-“Hi.. how are you feeling now?”
Megha-“I am feeling much better now. And you?”
Me-“Yeh,, me too trying to recover and hope I will be able to attend classes tomorrow.”
Megha-“Baat hui kya us se?”
Me-‘‘kis se ?’’ *Shayad mera dimag kaam nahi kar raha tha*
Megha-“Kinjal ya Karthik se.. idiot.”
Suddenly all the things came around my mind.. it made me remember all the things happened in train regarding Kinjal and Karthik.
Me-“nahi yar.. I just forgot about that.. chal me Karthik se baat karta hu..tu Kinjal se baat kar,, baad me baat karte hai phir. Bye.!!”
*my mom sitting at dining table looked at me with suspicion. *
I said-“nothing mom.. I am going to Karthik’s home.. having some assignment related work to do.”*moms always know that you are lying, just that thay had nothing against us then* And I took my bike and moved over to Karthik’s house.. maine Vaibhav aur Sameer ko bhi call kar ke waha bula liya tha.

Main Karthik ke ghar pahucha tab tak Vaibhav waha pahuch chuka tha.. Aunty told me that both are in Karthik’s room.
Main jaise hi Karthik ke room me enter hua.. dekha Karthik aur Vaibhav chup chap baithe hue hai aur music system par sad song chal raha tha…
“Dil mera churaya kyo.. Jab yeh dil todna hi tha,, Hum se dil lagaya kyo,, Jab u muh modna hi tha… Why did you break my heart….”
*I tell you.. yeh hindi sad songs aise situation me bade effective hote hai,, aache bhale insaan koh bhi vishwas kara dete hai ki kuch serious hua hai life me*
Maine room me enter hote hi sab se pehle song band kar diya..
Vaibhav-“Areyyy.. band kyo kar raha hai.. kitna aacha song hai”
*I gave him a bad look..* he sat down..
Me-“Hey Karthik.. kya haal hai,, how are you feeling now”
He didn’t answer.
*His face became more tensed*
Me-“Are yar kyo tension le raha hai.. sab thik ho jayega.” *This words made me remember the words of Simmy jab hum Jaipur me green room me the.. oh I just love her.*
Karthik-“Just leave me alone guyz,, abhi main baat karne ke mood me nahi hu.”
~
Sameer entered the room…
Sameer-“Kya hua bhai.. mahoul itna garam kyo hai?? Sab chup kyo baithe hai?”
Vaibhav-“Karthik ke pyar ko shraddhanjali dene aaye hai.. haha”
Karthik filled with anger and said-“Tere saath nahi hua na isi liye jyada bol raha hai.. tere saath hoga na tab pata chalega ki shraddhanjali dena kya hota hai.”
Vaibhav-“main toh isi liye in ladkiyo ke chakkar me nahi padta hu.. sab ki sab ek jaisi hoti hai,, pehle toh khud pass aati hai,, phir kuch kaho to kehti hai.. sab tumhari galti hai.. maine toh kabhi aisa nahi socha tha.”
Karthik-“Kinjal ke baare me aisa mat bol.. tujhe koi haq nahi hai usko kuch bolne ka.”
Vaibhav-“tujhe bahut haq de diya usne vaise bhi,, dekh liya na kya kiya tere saath”
Karthik-“dekh ab tu jyada bol raha hai,, Kinjal aisi ladki nahi hai”
We tried to stop both of them but it was too late….
Vaibhav-“are sab ki sab ek jaisi hoti hai.. bloody bi…….*Slap-Slap*
Vaibhav baat poori kar pata is se pehle hi usko rok diya gaya.... Karthik slapped Vaibhav. Vaibhav ko vishvas nahi hua ki Kaarthik ne us par haath uthaya tha.
Vaibhav angrily rushed towards Karthik but we stopped him.
Sameer-“ Karthik,,Pagal ho gaya hai kya,, us ladki ke liye tu apne dost par haath utthayega.”
Karthik shouted *This time a bit louder*- “Please get the hell out of here.. its my house and leave me alone… get out!!!” *It was too late to convince him now*
Vaibhav-“Ja rahe hai.. humko bhi teri koi jarurat nahi hai.. ja apni us dokhebaaz friend ke pass,, usi ke saath rehna ab..” Vaibhav banged the door and moved out of the room,, Sameer followed him to stop.
Karthik.. his eyes wet…sat down on the bed.
Me-“hey..listen buddy…”
Karthik-“Please leave me alone bro.. is se pehle ki main kuch galat keh du.. please abhi mujhe akela chod de”
Me-“Ok bro..! we will talk later, you take care..” I left the room.

Vaibhav moved to his home without saying anything to us. Me and Sameer looked at each other. Depressed, confused, tired, hopeless, helpless, samaj nahi aa raha tha ki ab kya kiya jaye. Hum yaha karne kya aaye the aur kya ho gaya tha. Ek problem solve nahi hui thi aur doosri ne aa ke dimag kharab kar diya tha. Socha tha Karthik ko mana lenge aur thoda mood bhi fresh ho jayega. But yaha toh kuch aur hi ho gaya.. ladki ke liye ek dost ne doosre par haath uttha diya tha.. kya sach me ladkiya aisi hoti hai.. we said goodbye and moved away… saari raat yehi sochta raha.. time bahut kharab chal raha tha.. yeh sab kya ho raha tha……..